Am Dm G Am
Nasri ke siwa main toh kuch bhi nahin
E Am G Am
Ho ke usse juda.... main toh kuch bhi nahin
Am G
Uski raahon pe chalta rahun umar bhar
F E
Beet jaye yuhi zindagi ka safar
Am Dm G Am
Fazal kar ae Khuda, main toh kuch bhi nahin
Am G
Katra katra lahoo tera behta raha
F E
Har zulm tu haske sehta raha
Am Dm G Am
Meri shifa ke liye, woh tha kuchla gaya
Am G
Maaf karta hamari har ek woh khata
F E
Deta na woh hamare gunah ki sazaa
Am Dm G Am
Hai yeh uski daya, main toh kuch bhi nahin
Am G
Khaak hoon khaak main lautna hai mujhe
F E
Yeh badan ka watan chodna hai mujhe
Am Dm G Am
Woh thikana mera, main toh kuch bhi nahin
Am G
Uska rasta bada ched se tang hai
F E
Har kadam par magar woh mere sang hai
Am Dm G E
Woh mera rehnuma, main toh kuch bhi nahin
0 Comments