Rubaru Mere Khuda | Enosh Chattree | Lyrics


 

Lyrics :

Raat aur din bas ye kehta rahu

Tere bagair mai kaise rahu

Har lamha tujhko mai yaad karu

Tere bagair mai kaise chalu


Milja rubaru mere khuda - 4


Mana hai tujhko maine apna khuda

Mar kar bhi tu hi hai jo zinda hua -2

Kudrat banane wali taaqat hai tu

Toofaan mitane wali awaaz hai tu

Rait ke zarro jitni ashish hai tu

Sooraj se bhi tez roshni hai tu - 2

Apna hai, Apna hai Zinda hai, Zinda hai

Taaqat hai, Taaqat hai aawaaz hai -2

Milja Rubaru Mere Khuda - 4


Behti shifa hai tere kapdo se

Tere kehne par murde hote khade - 2

Jo hum na soch paaye karta hai tu

Aansu lekar khushiyaan deta hai tu

Insaan jo dhoonde dil se paate tujhe

Tujhse hi maut ke aage zindagi mile -2

Apna hai, Apna hai Zinda hai, Zinda hai

Taaqat hai, Taaqat hai aawaaz hai -2

Milja Rubaru Mere Khuda - 4



Post a Comment

0 Comments